Monday, July 23, 2012

apna shaoor apni ana kho chuke hain ham aadil rasheed

apna shaoor apni ana kho chuke hain ham
ab jaagna padega bahut so chuke hain ham

ab raah tak rahe hain ababeel aayengi
hasil jo tha dua me asar kho chuke hain ham

ab kaun badh ke ham ko gale se lagayega
kaante to apne charo taraf bo chuke hain ham

ab to hamare honto ko muskaan bakhsh de
ab to naseeb se bhi siva ro chuke hain ham

shikwa agar karen to karen kis zubaan se
ik haq tha apne pas jise kho chuke hain ham

ehsaas-e- kam tari ka hue hain shikar yun
ab ehtjjaj tak ka hunar kho chuke hain ham

marne ke baad den to tira hi hisaab den
ta umr zindagi to tujhe dho chuke hain ham

kab tak naseeb saath hamara nibhayega

ab itni baar pa ke tujhe kho chuke hain ham

ab zulm ho rahe hain to isme galat hai kya
"aadil" kabhi ki samt-e-safar kho chuke hain ham

aadil rasheed tilhari -22-12-2000



No comments: